Shayari


Ishq me ashiq itna ashiq hojata hai
Ashiqui me use aur koi 
nazar nahi aata hai.
~Batul Bagwan

Kahte hai log kabhi ishq na karna
Warna pachtaoge
Ankhon me ansu liye majnu ki tarha
Dar Dar dhokren khaoge

~Batul Bagwan


Sirf paane ka matlab hi muhabbat nahi hota
Warna jalte seene me muhabbat
liye koi ashiq awara nahi phirta

~Batul Bagwan


Humne bhi ki thi muhabbat
Kisi zamane me
Pata na tha hojayenge
Nakam use pane me
~Batul Bagwan


Hum toh unhe chahte rahenge
Qayamat tak unki muhabbat ko
seene me chupaye rakha hai aaj tak
~Batul Bagwan



Chand tare apke liye chamka kare
Eid ka mubrak taufa apko ata kare
Har ek shaksh apse wafa kare
Khush rahe ap sada tahe dil se hum yeh dua kare

~Batul Bagwan




Is Eid par apke har dua qabook ho
Har gham apse dur ho
Koi apse rootha na ho
Har koi kahe apko ye eid mubarak ho
Mubarak ho, Mubarak ho




Tahe dil se apko eid Mubarak kahte hai
Sada khush rahe ap ye dua hum karte hai



unse jakar mile toh mile kaise
Unhe Eid mubarak kahe toh kahe kaise
Unke bina Eid manaye toh manaye kaise
Ya Khud! Is lockdown me woh aye toh aye kaise



Chand ko Chandi ka

Deedar hota hai jis tarah
Hum bhi is eid par unka
Intezar karenge kuch is tarah




Na jane Muhabbat kyun hoti hai
Na mile toh gham, mile toh khushi hoti hai






Muhabbat ishq aur pyaar aise alfaz hote hai
Zuban pe aane se pehle Dil se mehsus hoti hai



Muhabbat toh muhabbat hai, muhabbat he rahegi

Lakh koshish karle ye hokar he rahegi





Muhabbat me na karna kabi guroor
use pane ki har mumkin koshish karna zarur




Muhabbat me woh ajeeb
Kashish hoti hai
Jo ache khase insaan
ko dewana bana deti hai




Kabhi kabhi zindagi me
Muhabbat karne ka darr hota hai
Pane ki khushi
Khone ka ghum hota he






Sachi muhabbat kaha milti he
Bas naam ke dawe hai
Hamne muhabbat me hamesha
Dhoke he Khaye hai




Ankhon ne ki Shararat
Dil ne ki Muhabbat
Gustak dil tha jis
Ne kar di aisi Jurrat




Jab se usko dekha
Hum dekhte he rehgaye
Woh kisi aur ke hogaye
Aur hum sochte he Rehgaye






Hum ne kabhi apne apko
Itna nahi Sajaya
Phir bhi har Koi
Ashiq Banke Aaya






Woh chahte rahe hame
Sacchi Muhabbat se
Hum he nadan the jo dur
Rahe is Sacchi Ibadat se


1 comment:

ads