#Chaar Log!
Chaar din ki yeh Zindagani, kyu aksar Chaar logo mei seemat jati hai
Kehte ho farak nahi padta, phir kyu unki baatei tumhe rula deti hai!
Mana ke hum sab mei hai Khaamiyan, hum sab mei hai kamiyaan
Phir kyu hum lage pade ek dusre ko nicha dikhane Aur ginaane unki galtiyaan!?
Hadd toh tab hoti hai Jab bacche bhi isme Phas jate hain
Koi kitna bhi acha score kyu na kar le, inn logo ko yeh kam hi nazar aatey hain
Itne kam marks kyu aye Beta?
Aur Beta, Shadi kab Kar rahe ho?
Bekaar ho? Kama-waam laga ya nahi!?
Beta, wo kon tha jo chodne aya tha?
Rat mei online rehte ho, koi mila Kya!?
Sawal galat na lage, isliye “Beta” zaroor dal dete hain!
Ab inhe kon samjhaye, ke galat ko hamesha galat hi lete hain!
Aisa Nahi hai ke mauhalle ke auntiyun mei hi tumhe yeh Chaar log dikhenge!
Kabhi apne rishtedaroo, balke Aaj-kal toh har kahin tumhe Judge khade Milenge!
Na wo badlenge, Na tum Badalna
Zindagi ke iss safar mei, Tum peeche na Mudna
Thik hai, log hai, Chalta hai, yeh maan kar tum chalna!
Par khyaal rahe, kuch bhi banjao zindagi mei, Kisi ke liye Kabhi Chaar Log na Banna!
Tum...
Kabhi Chaar Log na Banna!
-NooR:)
Heart touching Noor.... very motivating
ReplyDeleteThnkyu:)
DeleteNice 👍
ReplyDeletethnkyu:)
DeleteGreat poem👍 your writing is beautiful
ReplyDeletethnkyu:)
Delete